~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hamari Sonch Ke Parwaz Ko Roke Nahin Koi Naye Aflak Pe Pehra Bitha Kar Kuch Nahi Milta Koi ik Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta hai Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khwab Ke Jhalar Samandar Ke Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta Ye Acha Hai ke Aapas Ke Bharam Naa Totne Payein Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Kar Kuch Nahi Milta Faqat Tumse Hi Karta Hoon Main Sari Raaz Ki Batein Har Ik Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta Amal Ki Sookhti Rag Mein Zara Sa Khoon Shamil Kar Mere Humdam Faqat Batein Banakar Kuch Nahi Milta~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Apne sapano ko hakikat ki jamee dena in pathrai aanko ko thodi si nami dena dena karm ko dhan se adhik pradhaanta dushto ko dena dand aur apno ki mitana agyaanta
No comments:
Post a Comment
DO NOT SPAMM HERE OR OTHER LINKS HERE
ADMIN WATCH YOU ALWAYS